Thursday, June 28, 2012

Modern day Geeta Saar



Increment nahin mila, bura hua
Salary cut ho rahi hai, bura ho raha hai
Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga...
Tum pichla review na hoone ka paschataap na karo
Tum agle review na hone ki chinta na karo
Recession chal raha hai...
Tumhari pocket se kya gaya jo tum rote ho ?
Tum company ke liye kya business laye the jo tumne kho diya
Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo scrap hogaya ?
Tum koi experience le kar nahin aaye the...
Jo experience liya company se liya...
Jo project kiya company ko diya...
Degree le kar aaye, experience lekar chale...
Jo function aaj tumhara hai,
Kal kisi aur ka tha... parsoon kisi aur ka hoga...
Tum isse apna samajh kar magn ho rahe ho
Bas yahi khushi tumhari tension ka karran hai...
Kyon wyarth tension lete ho, kis se wyarth darte ho
Kaun tumhein nikaal saktahai ?
Chamcha na nikala ja sakta hai na nikal sakta hai...
Policy change company ka rule hai
Jise tum policy Change kehte ho, Wahi to trick hai...
Ek pal mein tum millionare ho jaate ho
Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho...
Review, increment etc. etc. man se hata do
Vichar se mita do phir company tumhari hai, tum company ke
ho...Na yeh Increments tumhare liye hain, na tum iske kabil ho
Yeh chamchoon ke liye bana hai aur unhin ko milega...
Parantu job secure hai, phir tumhein tension kyon hai
Tum apne aap ko Company ko arpit karo
Yahin sabse bada Golden Rule hai...
Jo is Golden Rule ko janta hai
Wo review, incentive, recession se sarvada muqt hai.

To enhance your knowledge regarding your health, financial and monetary conditions and wisdom, keep visiting Health, Wealth and Wisdom

To keep yourself updated regarding Dehradun and the world, please visit Doonspot

pic courtesy : http://i.ytimg.com/vi/f7oOfyuLtaM/0.jpg, 


No comments:

Post a Comment